Community Information
-
JEE subreddit pe darr ka mahaul hai...
Yeh bas ek aur shaam nahi hai. Yeh woh shaam hai jo kisi definite integral ke final evaluation se pehle aati hai—jab sab kuch solve ho chuka hota hai, bas ek final answer ka wait hota hai. Haath kaanp rahe hain, saans SHM ke graph ki tarah kabhi fast, kabhi slow ho rahi hai. Timer ka har second kisi radioactive decay jaisa lag raha hai—entropy badh rahi hai, aur stability girti ja rahi hai. Sirf kuch hi ghanton ki baat hai. Result aane wala hai. Logo ke papa belt aur chappal ka determinant maximize kar rahe hain, taaki impact full marks le aaye. Logo ki mummi belan ka angle optimize kar rahi hai, jaise kisi projectile ka theta nikalna ho. Har ghar ek rigid body dynamics ka live demonstration ban chuka hai—jahan ek taraf rotation ho raha hai, toh doosri taraf conservation of angular momentum se ghanti bajne wali hai. Subreddit pe log alag-alag phase me phase difference ke saath jee rahe hain. Kuch log refresh button pe lagatar differentiation kar rahe hain, jaise usse server ka response faster ho jayega. Kuch log Schrödinger ke student bane baithe hain—jab tak result nahi dikhta, tab tak pass aur fail dono possible hain. Aur kuch log ise sirf ek normal distribution ka khel maan rahe hain, jisme bas ek achha percentile nikalna hai. Bas ab ek hi sawaal hai—kya hamara result monotonically increasing function hoga ya ek local minima pe atak jaayega jahan se koi escape velocity bhi nahi nikal sakti? Kya yeh ek inflection point hoga ya bas ek aur ordinary point? Server khulne tak sab kuch uncertain hai. Lekin jaise hi woh webpage load hoga... waveform collapse ho jayega. Aur uss din sirf do log bachenge—jo select ho gaye, aur jo keh rahe hain 'drop nahi lunga.'5
© 2025 Indiareply.com. All rights reserved.