Community Information
-
IIT Delhi Textile Tech for AI/ML? Smart Move or Nah?
Bhai log, ek serious sawaal—maan lo kisi ka dream hai AI/ML seekhna, par uske JEE marks itne nahi aaye ki IITD me CS ya MNC le sake. Ab us bande ko sirf IITD ka environment, alumni network, resources, aur seniors ka exposure chahiye. Kya Textile Technology ek smart option ho sakta hai? Matlab, yahan se nikalke AI/ML me shift possible hai kya? Course load manageable hai ya duba dega? Side me khud se coding seekh sakta hu ya yahan bhi assignments ka dukh milega? Mera main goal placements ka nahi hai, bas AI/ML me expert banna hai aur uske liye best logon ke beech rehna chahta hu jo mujhe guide kar sake. Aur Textile me free time milta hai kya side me khud ka AI/ML ka deep learning karne ke liye, ya fir yahan bhi maze se zyada maar hai? Koi banda ya senior jo ye route le chuka ho, gyaan barsao. IITD jaana fix hai, bas yahi dekh raha hu ki Textile Tech se AI/ML ke taraf shift karna realistic hai ya nahi. 🙏4
© 2025 Indiareply.com. All rights reserved.